Sunday, September 22, 2013

Hazrat Fatima(slam ullah aleha)

HARAT FATIMA (S.A)

NAMEFATIMA BINTE MOHAMMAD
FATHER'SNAMEMOHAMMAD (S.A.W.W)
MOTHER'S NAMEKHADIJA BINTE KHOILID
DATE OF BIRTHFRI, 20th JAMADI UL AAKHIR
PLACE OF BIRTHMAKKAH
HUSBAND'S NAMEALI IBNE ABI TALIB (A.S)
SON'S NAMEHASAN, HUSSAIN
DAUGHTER'S NAMEZAINAB, UMME KULSOOM
FAMILY NAMEUMMUL HASAN,UMMUL AAIMMA
TITLEZEHRA, SIDDIQA, KUBRA,TAHIRA, RAVIA, MARZIA,BATOOL, MOHADDISA.
AGE18 YEARS
MARTYRDOM3 JAMADI UL AAKHIR / 15 JAMADIUL AAKHIR / 13 JAMADI UL AWWAL.
BURRIED ATJANNATUL BAQI (MADINA)
Humare peyare Nabi Hazrat Muhammad Mustufa (S.A.W) ki peyare beti Hazrat Fatima tuz Zehra ki wiladat e ba saadat Makkha mein hoi. Tarikh e alam is azeem khatoon ki misal pesh nahi kar sakti. Ap umaat ki khawateen ke leye behtarein aur kabil taqlid namona han. Hazrat Fatima (A.S) hama waqat Allah ki ibadat mein munhamik aur duniya ki khuahishat se dor rahti thein. Janab e Seyada (A.S) ki aala siffat ki bunyad par ap ke mutadid alqab han jin mein se aik Batool bhi hai.

Abne Aseer ne likha ha ke ap la laqab Batool is leye tha ke ap apne deen aur sharaf ki wajah se tamam auraton se munfarid aur yagana thein. Is ke aalaya ap ke alqab Seayda, seyada tul nisa e ahle Jannat bhi mashoor han. Ap ka aik laqab Tahera bhi hai. Amam Muhammad Baqar (A.S) farmate hain ke Fatima akhlaq zamima se pak hon ki wajah se Tarira khelaein. Khatoon e jannat Hazrat Fatima (A.S) ki tafliyat ka zaman eaghaz Islam ka zamana ha. Jab musalmanon par kufar ka tashadud, zulmo sitam aur taassub pore zor par tha. Quraish ne Bani Hashim par arsa e hayat tang kar rakha tha.Is doran Bani Hashim teen saal tak shoib ab talib mein mehsoor rahe aur nehaayt tang dasti se zindagi ghuzari. Bibi Fatima (A.S) ne bhi kamsini mein bhook payas ki tamam taklifein apne walid Nibi e Rehmat ke sath bardasht kien. Umul mominein Hazart khadija (R.A) ki rehlat ka sadma bhi Bibi Zahra (A.S) ke leye bara jan ghuzar tha jise app ne bare hosle se bardasht kiya. Bachpan mein app aksar khamosh arha karti thein.
Hozoor Akram (S.A.W)aksar islam ki tabligh o ishaat mein masroof rahete the, magar jab farsat milti to beti se milte, unhein dealsa dete aur in ki taleem aur tarbiyat ke leye achi achi nasihaten farnate the. Hozoor Akram (S.A.W) ne beti ki kifalat is tarha se kit hi ke Bibi Fatima (A.S) tamam malkoti sifaat se arasta o perasta ho gayein. Ap bachpan hi se batani kamal mein apni hm umaron mein mumtaz thein. Zamana e tofliyat aam larkiyon ki tarha kheel kod kar nahi ghuzara. Kabi zid nahi ki. Ap ko zewar ka shook than a banao singhar ki fikar thi. Ap zarhiri takalof aur banawat se pak thien. Ap ko zark bark libas phene ki koi arzo nahi thi. Hazrat Fatima tuz Zahra (A.S) bachpab hi se pak baz thien. Faham o tadabur, mehman nawazi, sharam o haya, sabar o tawaqul, zed o qanayat aur tawazha o khaksari ap ka shoar tha.
Jab ap san e baloghat ko phonchin to saradane arab ne shadi ke leye pegham bheje, lekin Hozoor Akram (S.A.W)ne un mein se kise ka pegham qabol nahi kia. Phir jab Hazrat Ali(A.S) ne Hozoor ki khidmat mein hazir ho kar mudaa bayan kia to Allah ke Habib ne ye pegham manzoor fama leya. Is moqe par Hozoor Nabi Akram(S.A.W) ne Hazrat Ali (A.S) se daryaft farmaya:” tumhare pas haq meher ada karne ke leye kuch ha? ” Hazrat Ali (A.S) ne araz kia:” aik zirah aur aik ghore kesiwa uar kuch nahi hai. ”
Hozoor Akram (S.A.W)ne arshad farmaya:” ghora to larai ke leye zarori bha, zirah ko farokhat kar ke is ki qemat le ao.” Hazarat Ali (A.S) ne ye zirah farokhat ke leye sahaba ke samne pesh ki. Hazrat Usman zul norieen ne 480 daham mein wo zirah kharidi aur phir bator tohfa Hazrat Ali ko de di. Hazrat Ali(A.S) ye raqam le kar Hozoor Akram(S.A.W) ki khedmat nein hazir hoy aur sara waqeya bayan kia. Is doran Allah ke Rasool ne apni lakhte gighar Fatima tuz Zehra (A.S) ki raza mandi hasil kar choke the. Raqam ke bare mein Hozoor nabi Akram(S.A.W) ne farmaya:” Tehai raqam khushbo waghera par sarf karo aur aik tehai shadi ke saman aur degar ashya e khanadari par. ”
Aik riwayat mein ha ke Hazrat Fatima(A.S) rukhsati ke badapne ghar phonchin to Hozoor Nabi Akaram (S.A.W) Hazrat Ali(A.S) ke ghar tashrif le gaye. Aik bartan mein pani talab kia aur wazu kia. Phir pani par kuch duayein parhein aur wo pani Syeda Fatima(A.S) aur Hazrat Ali (A.S) par chirka aur apni beti se farmaya:”Ae Fatima! Main ne apne khandan mein se sab se afzal shakhas se tuhara nikah kia ha.”
Syada Fatima Zahra (A.S) ki sakhawat o esarki ye manzil ha ke aik martaba kisi urat ne ap se pocha:”agar kise ke pas 40 uwnt hon to in par kitne zaqat wajib hai? ” Bibi Fatima ne arshadfarmaya :”agar mery pas ho to 40 aur agar kise aur ke pas ho to 40 mein se aik.” Aik martaba HozoorAkram (S.A.W) Hazrat Fatima (A.S) ke ghar tashrif le gaye aur dacha ke unho ne uwnt ke balaon ka aik mota se kapra pehen rakha hai. Ap ne arshad famaya:” Ae Fatima! Aj is duniya ki mushakat aur tang mash par sabar karo, ta ke qayamat mein jannatki nemat mile.”
Hazrat anas bin malik(R.A) farmatey hain ke Sahaba Akram barghahe risalat (S.A.W) mein hazir thay. Allah ke Rasool ne un se daryaft farmaya:”aurat ki bhetareen sifat kia hai?” Magar kisi se is sawal ka jawab na ban para. Jab Hazrat Ali apne ghar gaye to unho ne syeda Fatima Zahra (A.S) se yahi sawal daryafat kiya to khatoon e jannat ne irshad farmaya :”na wo kisi ghair marad ko dekhe aur na koye ghair marad us ko dakhe.” Hzarat Aysha (R.A) se riwayat hai ke Hozoor akram (S.A.W) Hazrat Bibi Fatima (A.S) se bohat mohabat karte the. Jab Bibi Fatima (A.S) un ke pas atein to ap khre ho jate aur un ke leye apni aba bicha date thay. Isi tarha jab Nabi Akram (S.A.W) un ke aps tashrif lejate to azeem beti khari ho jatein aur apni chdar duniya ki sab se azeem hasti ke bethne ke leye bicha detein. Hozoor Akram (S.A.W) jab shehar se bahar jate to sab se mil kar jate, magar is mulaqat mein sab se akhir mein Hazrat Fatima (A.S) ke aghar jate albata jab wapis tashrif late to sab se phele Hazrat fatima (A.S) ke ghar ate aur inhen koi nakoi tohfa bhi dete the.
Sunat e Nabwi (S.A.W) kiu parwi Bibi Fatima(A.S)ka nasbulain tha. Wo sabar ka pekar thein. Khuda ki abadat un ka pasandida amal tha. Ap tamam umoor e khana dari khud anjam deti thein. Ghar ki safai khud kartin, chaki peestin aur pani ka mashkizah bhar kar latein, jis ke bais hathon mein neshan par gaye the, lekin ap zindagi bar sabir o shrik rahein. Janabe Fatima (A.S) zindagi ke tamam adwar mein aala sifat khatoon nazar ati han. Apne walid e girami ke leye ap aik misali ulad thein, Ap apne walid e girami ki mushir, rafiq aur moin bhi thein. Janabe Fatima (A.S) apne shorah ke leye aki meharban shrek e hayat aur munos o madad gar thein. Ap aik isi maa thein jin ki aghosh mein Imam Hassan (A.S), Imam Huassain (A.S), Bibi Zeinab (A.S) aur Bibi Ume koolsom(A.S) jesi uladen parwan charhein. Janab e Fatima tuz Zahra (A.S) Islam mein khawateen ke martabe ki azmat aur rafaat ki mazrhar han. Hozoor Akarm(S.A.W) ke wisal ke 6 maha bad 3 ramazan 11 hijri ko Hazrat Fatima(A.S) bhi wafat pa gayein. Us waqat pap ki umar 28 baras thi. Hazarat Abbas (R.A) ne namaz e jinazah pharhai aur ap ki wasiyat ke mutabik Jinnat tul Baqaiya mein raat ke waqat suporde khakh kia gaya.

No comments:

Post a Comment

Thanks For Comments